Hathon Mein Hath Poetry in Urdu

Love Poetry



Jab se yeh peghaam mila hai

Jab se yeh peghaam mila hai,
Jaana�n! tum aaney wali ho,
Mausam ne sarey ghar ki tarteeb badal kar rakh daali hai,
Chokhat per ik chaand bhi aa kar beth geya hai,
Keyi sitaare lounge mein kab se pare huye hain,
Kehte hain ke,
Is raste se tum guzro gi,
Nanhe mune gulabon ka kehna hai,
Jitne din tum pass raho ge,
Ghar ke har konay mein aakar woh mehkain ge,

Phoolon ne mil kar sab konay baant liye hain,
Jugnu kab se chat pe, ghar ke,
Har goshay mein chamak rahe hain,
Suraj aur barish bhi kal se saaye�baan per tikkay huye hain,
Dheemey dheemey chehek rahe hain,
Shaam to kab se kayi tarah ke mausam le ker,
Is kamrey mein ruki hui hai, Jis kamrey mein tum thehro ge,
Tum aao ge to yeh shaam hazaron mausam,
Sundar sundar sajji huyi ankhon ko de ker
Kho jayegi,

Phir na kabhi wapis aaye gi,
Is se pehle ke yeh shaam bhi,
Sarey mausam leker mujhko khaali karke kho jaye,
Tum aajao naa�n,
Aabhi jao�.

Phir woh campus ki fiza ho shaam ho

Phir woh campus ki fiza ho, shaam ho,
Hath hathon mein tera ho, shaam ho,

Khauf ata hai mujhe us waqt se,
Raasta na mil raha ho, shaam ho,

Kis qadar be�kaif guzre gi woh shaam,
Tu mujhe bhoola hua ho, shaam ho,

Kyon na shiddat se mujhe yaad aye gaao�n,
Sheher ka banjar�pana ho, shaam ho,

Ho rahi ho teri tasveeron se baat,
Tera khat khola hua ho, shaam ho,

Sardiyaan, barish, hawaa, chaaye ka cup,
Woh mujhe yaad aaraha ho, shaam ho,

Dard o gham ki dhund mein liptaa hua,
Qaafila sa chal para ho, shaam ho,

Ya�ilahi aese lamhe se bachaa,
Woh kabhi mujh se khafaa ho, shaam ho,

Ik yehi khawhish na puri ho saki,
Tu kalejey se laga ho, shaam ho..

Hum Tere Hijr Mein Andar Se Bikhar Jaatay Hain

Hum Tere Hijr Mein Andar Se Bikhar Jaatay Hain
Zindah Lagtay Hain Magar Asal Mein Mar Jaatay Hain

Jub Kubhi Bolta Hai Hans Ke Kisi Aur Se TU
Kitnay Khanjar Mere Seenay Mein Utar Jaatay Hain

Teri Yaadon Ki �Agar Bat�tiyan� Jal Uthtay Hee
Hum Tere Dard Ki Khushbouon Se Bhar Jaatay Hain

Hum Se Aawaarah Phira Kartay Hain Galyon Mein Kaheen
Shaam Hotay Hee �Wasi� Loog Tou Ghar Jaatay Hain

Kab Talak Tuj Pe Inhisar Krain

Kab Talak Tuj Pe Inhisar Krain
Kun Na Ab Dosron Se Pyar Krain
Tu Kabi Waqt Par Nahi Phucha
Kis Tarah Tera Aitbar Krain

Aaj Yun Mausam Ne Dee Jashn E Muhabbat Ki Khabar

Aaj Yun Mausam Ne Dee Jashn-E-Muhabbat Ki Khabar
Phoot Ker Rone Lage Hain Mai Muhabbat Aur Tum

Hum Ney Joon Hi Ker Liya Mehsoos Manzil Hai Qareeb
Raastey Khone Lage Hain Mai Muhabbat Aur Tum

Chaand Ki Kirno Ne Humko Is Tarah Bosa Diya
Devta Hone Lage Hain Mai Muhabbat Aur Tum

Aaj Phir Mehroomiyon Ki Daastane Orh Ker
Khak Mai Sone Lage Hain Mai Muhabbat Aur Tum

Kho Gaye Andaaz Bhi Awaz Bhi Alfaz Bhi
Khamshi Dhone Lage Hain Mai Muhabbat Aur Tum

Ab Magar Kuch Bhi Nahin Kuch Bhi Nahin Ho Sakta

Ab Magar Kuch Bhi Nahin, Kuch Bhi Nahin Ho Sakta;
Apne Jazbon Se Yeh Rangeen Shararat Na Karo;
Kitni Masoom Ho, Naazuk Ho, Hamaqat Na Karo;
Baar�haa Tum Se Kaha Tha Ke Mohabbat Na Karo!

Dheere Se Sarakti Hai Raat Uss Ke Aanchal Kee Tarah

Dheere Se Sarakti Hai Raat Uss Ke Aanchal Kee Tarah;
Uska Chehra Nazar Aata Hai Jheel Mein Kanwal Kee Tarah;

Baad Muddat Usko Dekha To Jism-o-Jaan Ko Yun Laga;
Pyaasi Zameen Pe Jaise Koi Baras Geya Baadal Kee Tarah;

Roz Kehta Hai Seene Pe Sar Rakh Ke Raat Bhar Jagauonga;
Sar-e-Sham Hee Mujhe Aaj Phir Sula Geya Woh Kal Kee Tarah;

Mere Hee Dil Ka Makeen Nikla Woh Shakhs �Wasi�
Aur Main Shehar Bhar Mein Dhundta Raha Use Kisi Pagal Kee Tarah!

Teri Doli Uthi Meri Mayyat Uthi

Teri Doli Uthi, Meri Mayyat Uthi;
Phool Tujh Par Bhi Barse, Phool Mujh Par Bhi Barse;
Farq Sirf Itna Sa Tha, Tu Saj Gayi, Mujhe Sajaya Geya;

Tu Bhi Ghar Ko Chali, Main Bhi Ghar Ko Chala;
Farq Sirf Itna Sa Tha, Tu Uth Ke Gayi, Mujhe Uthaya Geya;

Mehfil Wahan Bhi Thi, Log Yahan Bhi The;
Farq Sirf Itna Sa Tha, Unka Hasna Wahan, Inka Rona Yahan;

Qazi Udhar Bhi Tha, Maulvi Idhar Bhi Tha;
Do Bol Tere Padhe, Do Bol Mere Padhe;
Tera �Nikah� Padha, Mera �Janaaza� Padha;
Farq Sirf Itna Sa Tha, Tujhe Apnaya Geya, Mujhe Dafnaya Geya!

Hum Se Kya Puchte Ho Hijar Mein Kya Karte Hain

Hum Se Kya Puchte Ho Hijar Mein Kya Karte Hain;
Tere Laut Aane Kee Din Raat Dua Karte Hain;

Ab Koi Honth Nahi In Ko Churane Aate;
Meri Aankhon Mein Agar Ashk Hua Karte Hain;

Teri Tu Jane, Par Ai Jane-Tammana Hum To;
Saans Ke Saath Tujhe Yaad Kiya Karte Hain;

Tu Hi Pehlu Mein Nahi Warna December Mein Wahin;
Dhoop Mein Akhbaar Padhaa Karte Hain;

Kabhi Yaadon Mein Tujhe Baahon Mein Bhar Lete Hain;
Kabhi Khawbon Mein Tujhe Chum Liya Karte Hain;

Teri Tasveer Laga Lete Hain Hum Seene Se;
Phir Tere Khat Se Teri Baat Kiya Karte Hain;

Gar Tujhe Chorrne Kee Soch Bhi Aaye Dil Mein;
Hum To Khud Ko Bhi Wahin Chorr Diya Karte Hain!

Hum Tere Hijr Mein Andar Se Bikhar Jate Hain

Hum Tere Hijr Mein Andar Se Bikhar Jate Hain;
Zinda Lagte Hain Magar Asal Mein Mar Jate Hain;
Jab Kabhi Bolta Hai Hans Ke Kisi Aur Se Tu;
Kitne Khanjar Mere Seene Mein Utar Jate Hain!

Hathon Mein Hath Poetry in Urdu

Source: https://whatspk.com/poetry/Love_Poetry_60.html

0 Response to "Hathon Mein Hath Poetry in Urdu"

Post a Comment

Iklan Atas Artikel

Iklan Tengah Artikel 1

Iklan Tengah Artikel 2

Iklan Bawah Artikel